WALIDEN KE SATH SALOOK1⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 WALIDEN KE SATH SALOOK 🥀*
☆ ★ PART- 1 ★☆
⇨1- Maa Baap ke saath husne sulook ko dono jaha'n ki sa'adat Samjhe,
★ Khuda ke baad insaan per sabse zyada haqq maa Baap hi ka he,Maa Baap ke haq ki ahmiyat aur azmat ka andaza isse kijiye k Qurane Paak me jagah jagah maa Baap ke haq ko khuda ke haq ke saath bayaan kiya he aur khuda ki shukr guzari ke saath saath maa Baap ki shukr guzari ki takeed ki he,
→ "Aur aapke Rab ne faysla farma diya he k tum khuda ke Siva kisi ki bandgi na Karo aur Walden ke saath nek sulook Karo, "
👉 Bani isra'iyl, 23
★ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu kehte he'n, mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se puchha,
" Konsa amal khuda ko sabse zyada mehboob he?"
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" wo Namaz Jo waqt per padhi jaye, "
Mene fir puchha,
" Iske baad konsa amal khuda ko sabse zyada mehboob he?"
Farmaya,
" Maa Baap ke saath husne sulook,"
Mene puchha,
" iske baad"
Farmaya,
" Khuda ki raah me jihaad karna, "
📓 Bukhari, 5970,Muslim,
★ Hazrat Abu umama Raziyallahu anhu farmate he'n,
Ek shakhs ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se puchha,
" Ya Rasulullah! Maa Baap ka olaad per kya haq he? "
Irshad farmaya,
" Maa Baap hi tumhari jannat he'n aur Maa Baap hi Dozakh "
( Yani inke saath nek sulook karke tum jannat ke mustahiq honge aur unke huqooq ko pamaal karke tum jahannam ka iydhan banoge,)
📓 ibne maaja, 3662
Next-2 ,🔜 in sha Allah ta'aala,
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें