Walden Ke Saath Sulook1⃣0⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Walden Ke Saath Sulook 🥀*



           ☆ ★ PART-10 ★☆

⇨ 7- Maa ki khidmat ka khususi khayal rakhiye, -1

★ Maa tab'an zyada kamzor aur hasaas hoti he aur Aspki khidmat aur sulook ki nisbatan zyada zarurat mand bhi, Fir Maa ke ahsanaat aur qurbaniya bhi baap ke muqable me kahi zyada he'n isliye Deen ne Maa ka haq zyada bataya he aur Maa ke saath Sulook ki khususi targeeb di he,

★ Qurane Paak me irshad he: -

وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا حَمَلَتْهُ أُمُّهُ كُرْهًا وَوَضَعَتْهُ كُرْهًا وَحَمْلُهُ وَفِصَالُهُ ثَلَاثُونَ شَهْرًا

⇨ Tarjuma: -

" Aur humne insaan ko Maa Baap ke saath bhalai karne ki takeed ki, uski Maa takleef utha uthakar usko pet me liye liye firi aur takleef hi se Jana, aur pet me uthane aur doodh pilane ki ye ( takleefdah) muddat tees mahine he, "

👉 Surah Al Ahqaaf, 15

★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu farmate he'n,:
Ek shakhs Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me aaya aur puchha,

" Ey khuda ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Mere nek sulook ka sabse zyada mustahiq kon he? "

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Teri maa, "

Usne puchha, Fir kon?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Teri maa, "

Usne puchha, Fir kon?

Irshad farmaya," Teri maa",

Usne kaha, Fir kon?

To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
"Tera Baap, "

📓 Bukhari, 5971

Next- 11,🔜 in sha Allah ta'aala, 💛 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ