Walden Ke Saath Sulook9⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Walden Ke Saath Sulook 🥀*
🌹 ☆ ★ PART-9 ★☆🌹
🌷 6- Maa Baap ke liye Barabar Dua karte rahiye,🌷
✍Maa Baap ke liye Barabar Dua karte rahiye aur unke ahsanaat ko yaad karke khuda ke saamne gidgidaiye aur intehai dil sozi aur qalbi jazbaat ke saath unke liye Reham v Karam ki darkhwast kijiye ,
🍁 Allah ta'aala ka irshad he,
💠" Aur Dua karo k parvardigaar! Un do no per Reham farma, Jis tarah un dono ne bachpan me parvarish farmai thi, "
🌾 Bani isra'iyl,, 24
🖌 Yani Ey parvardigaar bachpan ki bebasi me, jis zehmat v jaanafsani aur shafqat v muhabbat se unhone meri parvarish ki aur mere khatir apne aysh ko qurban kiya! Parvardigaar ab ye budhape ki kamzori aur bebasi me mujhse zyada khud Rehmat v shafqat ke mohtaj he'n, Khudaya! Me inka koi badla nahi de sakta Tu hi inki sarparasti farma aur unke haale zaar per Reham ki nazar kar,
Next- 10,🔜 in sha Allah ta'aala, 💛
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें