Walden Ke Saath Sulook8⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Walden Ke Saath Sulook 🥀*
☆ ★ PART-8 ★☆
✍ *6- Maa Baap agar Gayr Muslim ho tab bhi unke saath Sulook kijiye,*
🌷 Maa Baap agar gayr Muslim ho tab bhi unka adab, ahatraam aur unki khidmat barabar karte rahiye, albatta agar wo shirk v ma'asiyat ka hukm de to unki ita'at se inkaar kar dijiye aur unka kaha hargiz na maniye,
وَإِن جَاهَدَاكَ عَلَىٰ أَن تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا وَصَاحِبْهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا
▶Tarjuma,
Aur agar Maa Baap dabaav daale k mere saath kisi ko shareek banao jiska tumhe koi ilm nahi he to hargiz unka kehna na mano aur duniya me unke saath nek bartaav karte raho,
⏩Hazrat Asmaa Raziyallahu Anha farmati he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke ahad Mubarak me mere pass meri walida aayi aur us waqt wo mushrika thi,
🌾mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k mere pass meri walida aayi he aur wo islaam se mutnaffir he, Kya me unke saath Sulook karu?
🌷Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Haa'n tum apni Maa ke saath silah rehmi karti raho, "
📚 Bukhari, 5978
Next- 9,🔜 in sha Allah ta'aala, 💛
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें