Walden Ke Saath Sulook7⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Walden ke Saath Husne Sulook 🥀*
💐 ☆ ★ PART- 7 ★☆.💐
➡ 5- Maa Baap ko apne maal ka maalik samjhe aur un per Dil khol kar kharch kijiye,
★
يَسْأَلُونَكَ مَاذَا يُنفِقُونَ قُلْ مَا أَنفَقْتُم مِّنْ خَيْرٍ فَلِلْوَالِدَيْنِِ
🖌Tarjuma,
Log aapse puchhte he'n, hum kya kharch kare? Jawab dijiye k Jo maal bhi tum kharch Karo, uske avvaleen haqdaar Walden he'n,
👉 Surah, Al- Baqrah, 215
↪ Ek baar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke paas ek Aadmi aaya aur apne Baap ki shikayat karne laga,
wo jab chahte he'n mera maal le lete he'n,
✍Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne us Aadmi ke Baap ko bulwaya, laathi tekta hua ek budha kamzor shakhs haazir hua, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne us budhe shakhs se tehqeeq farmai, to usne kehna shuru kiya,: -
" Khuda ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Ek zamana tha jab ye kamzor aur bebas tha aur mujhme taaqat thi, me maaldaar tha aur ye khaali haath tha, mene kabhi isko apni cheez lene se nahi roka,
Aaj me kamzor hu'n aur ye tandurast v qavi he, me khaali haath hu'n aur ye maaaldaar he, Ab ye apna maal mujhse bacha bacha kar rakhta he,
🌷Budhe ki ye baate sunkar Rehmate Aalam Sallallahu Alaihivasallam ro pade aur budhe ke ladke ki taraf mukhatib hokar farmaya,:
" Tu aur tera maal tere Baap ka he, "
Next-8 ,🔜 in sha Allah ta'aala, 💛
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें