Walden Ke Saath Sulook1⃣5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Walden Ke Saath Sulook 🥀*



        ☆ ★ PART- 15 ★☆

⇨ 11- Baap ke Dosto aur Maa ki Saheliyo ke saath bhi Husne Sulook karte rahiye,

★ Baap ke Dosto aur Maa ki Saheliyo ke saath bhi husne Sulook karte rahiye, Unka ahatraam kijiye, Unko apne mashwaro me apne Buzurgo ki tarah shamil kijiye, Unki Raay aur mashwaro ki ta'azeem kijiye,

★ Ek moqe per Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-

"Sabse zyada nek sulook ye he k Aadmi apne waalid ke Dost ahbaab ke saath bhalai kare, "

👉 Muslim, 6513


 
★ Hazrat Abu Bardah Raziyallahu Anhu farmate he'n k me jab Madina aaya to mere paas Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu tashreef laaye aur kehne lage,: -

"Abu Dardah Raziyallahu Anhu! Tum jaante ho me tumhare paas kyu aaya hu'n?

Mene kaha, " Me to nahi jaanta hu'n k Aap kyu tashreef laaye ho?

is per Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya: -

" Mene Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna he k Jo sakhsh Qabr me apne Baap ke saath nek sulook karna chahta ho usko chahiye k Baap ke marne ke baad Baap ke Dost ahbaab ke saath achchha sulook kare,"

Aur fir farmaya: -

" Bhai mere Baap Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur aapke waalid me gehri dosti thi, me chahta hu'n k is dosti ko nibhau aur iske huqooq adaa karu, "

👉 Targeeb v Tarheeb, 34

Next- 16,🔜 in sha Allah ta'aala,💛 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ